13 Mar 2010
by Hina Safdar
in Current Affairs, Pakistan, Poetry
Tags: Aman, blast, Lahore, Pakistan, Poetry, Punjab
A poetical dedication cum anger cum hope cum despair after series of blasts in Lahore, the provincial Capital of Punjab : (
Mere watan ka Aman kho gaya
Na jane kahan wo chaman kho gaya
Bahaaren jahan aa ke deti thi sadayen
Haseen pankhadiyon ki wo maasum adaayen
Leh lahata chaman aaj ban ho gaya
Na jane kahan wo chaman kho gaya
Jiske seene me tha ilm ka khazaana
Sone ki chidiya jise kehta tha zamaana
Surkh joda wo aaj kafan ho gaya
Na jane kahan wo chaman kho gaya
Mere watan ka aman kho gaya
Na jane kahan wo chaman kho gaya
Recent Comments